Wednesday 6 August 2014

UPSC/CSAT ki Hindi Samasya ka samadhan

Mae CSAT ki Hindi /Angrezi samasya ko hal kiye jane ke liye ye sujhao dena chahta hu. Hindi madhyam ke chhatro ki samasya Angrezi nibandh (passage) aur anuchit anuwad hae, jo unhe samajhne me kathin pardhta hae.

UPSC ke pariksha patr taiyyar karne wale adhikari Angrezi nibandh (passage) chunte hae; aur wey ye bhi karte hae ke pehli pariksha patr Angrezi me taiyyar karte hae jiske baad uska anuwad Hindi me karte hae. Unhe iske ulat karna chahiye. Unhe parisksha patr pehle Hindi me taiyyar karna chahiye aur uske baad uska anuwaad Angrezi me karne chahiye, isse Hindi chhatro ki anuwad ki samasya aur sikayat dono samapt ho jayengi. Ye sambhawit si baat hae ke Hindi se Angrezi anuwad itna anuchit nahi hoga jitna Angrezi se Hindi anuwad anuchit hone ka dawa kiya gaya hae.
Angrezi nibandho (passages) ki samasya ke liye unhe ye karna chahiye ke unhe koi Hindi nibandh jaese ke Prem Chand ka koi nibandh ya koi aur Hindi nibandh chunna chahiye, aur uska anuwad Angrezi me karwa kar use pariksha patr me dalna chahiye, ye saral hoga, aesa karne se Angrezi Nibandho ka pariksha patr ke Hindi Anuwad bhi me mil jayega, jo pehle nahi hua karta tha. Isse Angrezi pariksha patr ka 100% Hindi anuwad uplabdh ho jayega, aur Hindi chhatro ki samasya ka samadhan bhi ho jayega.

No comments:

Post a Comment