Friday 6 December 2019

National Anthem of The United States of America in Urdu Hindi

America ke Qaumi Taraane/ Rashtriya Gaan ka local simple Roman Urdu Hindi me translation tarjuma/anuwad


















Suno! kya tum subah ki pehli raushni me bhi hamaare parcham ki oojagar pattiyaa aur chamkile sitaare dekh sakte ho? hamaara wo parcham jisko itni zabardast jang ke aalam me bhi humne kitne ghurur aur ehteraam ke saath raat ke andhere se pehle tak qile ke burj par qaayam rakha tha, humne dekha tha ke kitne joshile andaaz se hamaara parcham lehra raha tha. Rocket ke chakachaund sholo aur hawa me phat-te huwe baarood ke golo ki raushni se ye pata lag jata tha ke hamara parcham ab bhi lehra raha hae; Bataao! Kya sitaare-daar parcham azaad logo ke mulk aur baahadur logo ke ghar par ab bhi lehra raha hai? 


O say can you see, by the dawn's early light, What so proudly we hailed at the twilight's last gleaming, Whose broad stripes and bright stars through the perilous fight, O'er the ramparts we watched, were so gallantly streaming? And the rockets' red glare, the bombs bursting in air, Gave proof through the night that our flag was still there; O say does that star-spangled banner yet wave O'er the land of the free and the home of the brave?

Jaha hamara ghamandi dushman khauf-naak khaamoshi se tainaat hae, samandar ki oos dhundli gehraai se, halqa halqa sa wo kinaara dikh raha hae, jiski lambi dhalaan ki choti par hawa ka jhonka jise lehra deta hae, kabhi wo dikhta hae kabhi chhup jata hae, wo kya hae? Ab suraj ki pehli kiran oos par padhhi hae, jisse wo apni poori shaan se lehra raha hae: wo sitaare-daar parcham, kaash wo hamesha azaad logo ke mulk aur baahadur logo ke ghar par lehraata rahe.

On the shore dimly seen through the mists of the deep, Where the foe's haughty host in dread silence reposes, What is that which the breeze, o'er the towering steep, As it fitfully blows, half conceals, half discloses? Now it catches the gleam of the morning's first beam, In full glory reflected now shines in the stream: 'Tis the star-spangled banner, O long may it wave O'er the land of the free and the home of the brave.

Ab kaha hae wo fauj jisne itne ghamand se qasam khaayi thi ke jung ki tabaahi aur is ladaai ki ghabraahat hamaare ghar ko aur hamaare mulk ko barbaad kardegi? Oonke khun ne oonke qadmo ke gande nishaano ko dho diya hae. Naukrou aur ghulamou ko ab na ghabra kar bhag jaana bacha sakta hae naa hi qabr ka andhera bacha sakta hae, jabke sitaare-daar parcham ab bhi azaad logo ke mulk aur baahadur logo ke ghar par qaamiyaabi se lehra raha hae.

And where is that band who so vauntingly swore That the havoc of war and the battle's confusion, A home and a country, should leave us no more? Their blood has washed out their foul footsteps' pollution. No refuge could save the hireling and slave From the terror of flight, or the gloom of the grave: And the star-spangled banner in triumph doth wave, O'er the land of the free and the home of the brave.

Kaash ke aisa hamesha hota rahe, ke jab aazaad log apne pyaare gharou se nikal kar jung ki tabaahi se joonj rahe hou, tou oonhe qaamiyaabi aur aman hasil hou aur Qudrat ke zariye qaayam kiya gaya ye mulk Oos Qudrat ka shukr ada kare jisne is mulk ko bachaaye rakha hae! Jab hum sahi hae to jiit bhi hamaari hogi, aur ye hamara naare hae ke: ‘Hume Khuda par bharosa hae’. Ab sitaare-daar parcham azaad logo ke mulk aur baahadur logo ke ghar par hamesha lehraata rahega!

O thus be it ever, when freemen shall stand Between their loved homes and the war's desolation. Blest with vict'ry and peace, may the Heav'n rescued land Praise the Power that hath made and preserved us a nation! Then conquer we must, when our cause it is just, And this be our motto: 'In God is our trust.' And the star-spangled banner in triumph shall wave O'er the land of the free and the home of the brave!




Note: There are a lot of Urdu-Hindi speakers in US and around the world who would like to have a translation for this anthem. For those who don't know is that Urdu and Hindi are mutually intelligible so one translations is ok. This is a humble attempt to translate into colloquial Urdu/ Hindi the national anthem of US, it contain bit of interpretation due to linguistic nature. It may contains unintentional translation errors out of human and linguistic limitations. Any such issues are apologised for.

Search words: Meaning of the national anthem of the United States of America, US, USA, local colloquial simple Urdu Hindi Translation Anuwad Tarjuma

With Thanks the flag is taken from: http://bestanimations.com/Flags/USA/usa-american-flag-waving-animated-gif-26.gif