Friday 6 December 2019

National Anthem of The United States of America in Urdu Hindi

America ke Qaumi Taraane/ Rashtriya Gaan ka local simple Roman Urdu Hindi me translation tarjuma/anuwad


















Suno! kya tum subah ki pehli raushni me bhi hamaare parcham ki oojagar pattiyaa aur chamkile sitaare dekh sakte ho? hamaara wo parcham jisko itni zabardast jang ke aalam me bhi humne kitne ghurur aur ehteraam ke saath raat ke andhere se pehle tak qile ke burj par qaayam rakha tha, humne dekha tha ke kitne joshile andaaz se hamaara parcham lehra raha tha. Rocket ke chakachaund sholo aur hawa me phat-te huwe baarood ke golo ki raushni se ye pata lag jata tha ke hamara parcham ab bhi lehra raha hae; Bataao! Kya sitaare-daar parcham azaad logo ke mulk aur baahadur logo ke ghar par ab bhi lehra raha hai? 


O say can you see, by the dawn's early light, What so proudly we hailed at the twilight's last gleaming, Whose broad stripes and bright stars through the perilous fight, O'er the ramparts we watched, were so gallantly streaming? And the rockets' red glare, the bombs bursting in air, Gave proof through the night that our flag was still there; O say does that star-spangled banner yet wave O'er the land of the free and the home of the brave?

Jaha hamara ghamandi dushman khauf-naak khaamoshi se tainaat hae, samandar ki oos dhundli gehraai se, halqa halqa sa wo kinaara dikh raha hae, jiski lambi dhalaan ki choti par hawa ka jhonka jise lehra deta hae, kabhi wo dikhta hae kabhi chhup jata hae, wo kya hae? Ab suraj ki pehli kiran oos par padhhi hae, jisse wo apni poori shaan se lehra raha hae: wo sitaare-daar parcham, kaash wo hamesha azaad logo ke mulk aur baahadur logo ke ghar par lehraata rahe.

On the shore dimly seen through the mists of the deep, Where the foe's haughty host in dread silence reposes, What is that which the breeze, o'er the towering steep, As it fitfully blows, half conceals, half discloses? Now it catches the gleam of the morning's first beam, In full glory reflected now shines in the stream: 'Tis the star-spangled banner, O long may it wave O'er the land of the free and the home of the brave.

Ab kaha hae wo fauj jisne itne ghamand se qasam khaayi thi ke jung ki tabaahi aur is ladaai ki ghabraahat hamaare ghar ko aur hamaare mulk ko barbaad kardegi? Oonke khun ne oonke qadmo ke gande nishaano ko dho diya hae. Naukrou aur ghulamou ko ab na ghabra kar bhag jaana bacha sakta hae naa hi qabr ka andhera bacha sakta hae, jabke sitaare-daar parcham ab bhi azaad logo ke mulk aur baahadur logo ke ghar par qaamiyaabi se lehra raha hae.

And where is that band who so vauntingly swore That the havoc of war and the battle's confusion, A home and a country, should leave us no more? Their blood has washed out their foul footsteps' pollution. No refuge could save the hireling and slave From the terror of flight, or the gloom of the grave: And the star-spangled banner in triumph doth wave, O'er the land of the free and the home of the brave.

Kaash ke aisa hamesha hota rahe, ke jab aazaad log apne pyaare gharou se nikal kar jung ki tabaahi se joonj rahe hou, tou oonhe qaamiyaabi aur aman hasil hou aur Qudrat ke zariye qaayam kiya gaya ye mulk Oos Qudrat ka shukr ada kare jisne is mulk ko bachaaye rakha hae! Jab hum sahi hae to jiit bhi hamaari hogi, aur ye hamara naare hae ke: ‘Hume Khuda par bharosa hae’. Ab sitaare-daar parcham azaad logo ke mulk aur baahadur logo ke ghar par hamesha lehraata rahega!

O thus be it ever, when freemen shall stand Between their loved homes and the war's desolation. Blest with vict'ry and peace, may the Heav'n rescued land Praise the Power that hath made and preserved us a nation! Then conquer we must, when our cause it is just, And this be our motto: 'In God is our trust.' And the star-spangled banner in triumph shall wave O'er the land of the free and the home of the brave!




Note: There are a lot of Urdu-Hindi speakers in US and around the world who would like to have a translation for this anthem. For those who don't know is that Urdu and Hindi are mutually intelligible so one translations is ok. This is a humble attempt to translate into colloquial Urdu/ Hindi the national anthem of US, it contain bit of interpretation due to linguistic nature. It may contains unintentional translation errors out of human and linguistic limitations. Any such issues are apologised for.

Search words: Meaning of the national anthem of the United States of America, US, USA, local colloquial simple Urdu Hindi Translation Anuwad Tarjuma

With Thanks the flag is taken from: http://bestanimations.com/Flags/USA/usa-american-flag-waving-animated-gif-26.gif

Sunday 28 July 2019

India ka Political System

(India ki Hukumati banaawat)



1) India ek Democratic Republic yaane awaami jamhuriyat hai, jaaha qaanuun ki hukumat chalti hai, qaanuun sab se upar hai, qaanuun ke upar koi nahi. India ka qaanuun India ka Constitution yaane Aain hai. India ke Constitution ko India ki Constituent Assembly ne banaaya tha, Constituent Assembly wo group tha jisko ye zimmedaari di gayi thi ke wo Constitution tayyaar kare, Constituent Assembly ne qaanuun banaane ke ye ikhteyaar yaane power India ke logou se liye the.

2) India ka Constitution India ko ek Union yaane ek political group manta hai, India asal me boht saare alag alag States ya Riyaasato ka ek Union ya Political group hai. Isi wajaah se Constitution do alag alag level ki Governments ya Hukumat ke systems ko qaayam karta hai, pehle level ka system poore Union par laagu hota hai aur dusre level me alag alag States ke apne alag alag system hai. Ye dono systems Constitution ke hisaab se kaam karte hai.

3) Government ya Hukumat ke in systems ke phir tiin tiin hisse hote hai, tino hisso ko mila kar ek system banta hai. Union ke bhi tiin hisse hai, aur alag alag states ke apne apne system ke bhi tiin tiin hisse hai. System ke pehle hisse ko legislature ya qaanuun saaziat kehte hai, system ke dusre hisse ko executive ya amaliya kehte hai aur system ke tiisre hisse ko judiciary ya adaliya kehte hai. Is tarah se Union ke system ke tiin hisse: Union Legislature, Union Executive aur Union Judiciary hai, jabke alag alag states ke apne apne system ke bhi tiin tiin hisse hai: State Legislature, State Executive aur State Judiciary.

4) Union ko Centre bhi kaha jata hai, aur Union Executive ko Central government bhi kaha jaata hai.

5) Legislature ka kaam hota hai qaanuun banana. Executive ka kaam hota hai bane huwe qaanuun ke hisaab se Government chalaana aur Government ke kaam kaaj ke faisle lena. Judiciary ka kaam hota hai qaanuun ke hisaab se faisle karna.

6) India ke Consitution ne saare kaam kaaj ko tiin hisso me divide kar diya hai, pehle qism ke kaam sirf union ke hote hai oon kaam kaaj me kisi bhi state ka koi lena dena nahi hota hai, dusre qism ke kaam sirf states ke hote hai aur oon kaam kaaj me union ka koi lena dena nahi hota, tisre qism ke common kaam kaaj aese hote hai jo union aur state dono bhi lekar kar sakte hai. Kaam kaaj ki ye tino lists Consitution me likhi hui hai.

7) Is hi hisaab se union legislature apne hisse ke kaam kaaj ke bare me qaanuun banaata hai, aur Union Executive oon qaanuun ke hisaab se Union hukumat ya Central Government ko chalata hai. Isi tarha se state legislature apne hisse ke kaam kaaj ke bare me qaanuun banaata hai, aur state executive oon qaanuun ke hisaab se state hukumat ya State Government ko chalata hai.

8) Judiciary bhi do hisso me bati hui hai, ek jo poori union par laagu hoti hai, jise union judiciary keh sakte hai. Dusri hoti hai alag alag states ki apni apni judiciary jinhe state judiciary keh sakte hai. Lekin alag alag state ki saari state judiciaries union judiciary ke qabu me hoti hai, aur union judiciary ke hisaab se alag alag state me kaam karti hai.

9) Constitution of India ke hisaab se India ka sabse bada ohda President of India yaane Sadare Jamhuriya ka hota hai, India ki poorii Hukumat onhi ke naam se chalaayi jaati hai.

10) Union Legislature Union Hukumat ke liye qaanuun banaata hai, Union legislature ko Parliament of India ya Sansad kehte hai. Parliament tiin chizo se mil kar banta hai, pehle khud President of India, dusri chiz hai Lok Sabha aur tisri chiz hai Rajya sabha.

11) Lok Sabha ko India ke log Election ke zariye banaate hai, Lok Sabha logo ke chune huwe members ke group ko kehte hai. Lok Sabha sirf paanch salo ke liye banaayi jaati hai, uske baad ose khatam karke naye election ke zariye nayi Lok Sabha banaayi jati hai.

12) Rajya Sabha ko alag alag states apni apni taraf se members ko bhej kar tayyar karte hai, Rajya Sabha alag alag states ke bheje huwe members ke group ko kehte hai. Rajya Sabha ko kabhi bhi poora khatam nahi ki jaa sakta, sirf oske kuch purane members ko hata kar naye members laye jate hai.

13) Union Executive Union Hukumat ya Central Government ko qaanuun ke hisaab se chalaata hai. Constitution of India Prime-Minister ya Wazire Aazam ko Union Executive ko chalaane ki zimmedaari deta hai.

14) Prime Minister Parliament ka ek member hota hai. Prime Minister kaun hoga ye chunne ka haq sirf Lok Sabha ka hota hai, Lok Sabha apne hi kisi member ko Prime Minister bana sakti hai ya phir Rajya Sabha ke kisi member ko bhi chun sakti hai.

15) Prime Minister apni marzi se Parliament ke alag alag members ko Ministers banaata hai, alag alag ministers ka kaam alag alag kaam kaaj sambhal kar Prime Minister ki madad karna hota hai. Prime Minister aur sab Ministers ko milaakar Cabinet bolte hai. Cabinet Prime Minister par tiki hoti hai, isi waja se ek Prime Minister ke hat jaane se ooski poori Cabinet khatam ho jaati hai.

16) Prime Minister oske ohde par Lok Sabha ki marzi se rehte hai, jab Lok Sabha ki marzi nahi hoti hai to Prime Minister ko oske ohde se hatna padta hai. Isi ke saath jab ek Lok Sabha khatam hoti hai to oske saath hi oska banaaya huwa Prime Minister bhi hat jaata hai. Jiske baad India ke log Election ke zariye ek nayi Lok Sabha banaate hai.

17) Union Judiciary ko India ka Supreme Court chalata hai, jo poore India ke upar judicial ya adaalati power rakhta hai, iske saath hi sare alag alag state ki state judiciary bhi Supreme Court ke control me hoti hai aur osi ke hisaab se kaam karti hai. Supreme Court ke sabse bade ohde par Chief Justice of India baithte hai.

18) Constitution of India ke hisaab se kisi bhi State ka sabse bada ohda Governor ka hota hai, India ke President khud apne hukm se alag alag states me alag alag Governor bhejte hai. Governor President of India ke nichle ohde par baith kar apne apne state ki karwaahi chalaate hai. Kabhi kabhi do ya do se zyada States ke liye ek common Governor bhi ho sakte hai.

19) State Legislature State Government ke liye qaanuun banaata hai. State Legislature do chizo se mil kar banta hai, pehle oos State ke Governor, dusri chiz hai oos State ki Assembly ya Vidhan Sabha.

20) Vidhan Sabha ko State me rehne wale log Election ke zariye banaate hai, Vidhan Sabha State me rehne wale logo ke chune huwe members ke group ko kehte hai. Vidhan Sabha sirf paanch salo ke liye banaayi jaati hai, uske baad ose khatam karke naye election ke zariye nayi Vidhan Sabha banaayi jati hai.

21) Kuch States me Lok Sabha aur Rajya Sabha ki tarha do Sabhaae hoti hai, pehli to Vidhan Sabha aur dusra hota hai Vidhan Parishad. Vidhan Parishad ko State ke rehne wale logou me se boht zyaada qaabil log jo apne apne kaamo me boht maahir hote hai onhe chun kar banaaya jaata hai, Vidhan Parishad aese chune huwe members ke group ko kehte hai. Vidhan Parishad ko bhi Rajya Sabha ki tarha kabhi bhi poora khatam nahi ki jaa sakta, sirf oske kuch purane members ko hata kar naye members laye jate hai.

22) State Executive State Hukumat ya State Government ko qaanuun ke hisaab se chalaata hai. Constitution of India Chief-Minister ya Wazire Aala ko State Executive ko chalaane ki zimmedaari deta hai.

23) Chief Minister State legislature ka ek member hota hai. Chief Minister kaun hoga ye chunne ka haq sirf Vidhan Sabha ka hota hai, Vidhan Sabha State Legislature ke kisi member ko Chief Minister banati hai.

24) Chief Minister apni marzi se State legislature ke alag alag members ko Ministers banaata hai, alag alag ministers ka kaam alag alag kaam kaaj sambhal kar Chief Minister ki madad karna hota hai. Chief Minister aur sab Ministers ko milaakar Cabinet bolte hai. Cabinet Chief Minister par tiki hoti hai, isi waja se ek Chief Minister ke hat jaane se ooski poori Cabinet khatam ho jaati hai.

25) Chief Minister oske ohde par Vidhan Sabha ki marzi se rehte hai, jab Vidhan Sabha ki marzi nahi hoti hai to Chief Minister ko oske ohde se hatna padta hai. Isi ke saath jab ek Vidhan Sabha khatam hoti hai to oske saath hi oska banaaya huwa Chief Minister bhi hat jaata hai. Jiske baad State ke rehne wale log Election ke zariye ek nayi Vidhan Sabha banaate hai.

26) State Judiciary ko State ka High Court chalata hai, jo poore State ke upar judicial ya adaalati power rakhta hai, lekin High Court khud Supreme Court ke control me hoti hai aur osi ke hisaab se kaam karti hai. High Court ke sabse bade ohde par High Court ke Chief Justice baithte hai. Kabhi kabhi do ya do se zyada States ke liye ek common High Court ho sakti hai.

27) India ke kuch aese ilaaqe hai jo kisi State ke under nahi aate hai, onhe Union Territory kaha jata hai, wo directly Central Government hi chalaati hai, do aesi khaas ya special Union territories hai jinke paas kisi State ki tarha territory ke kuch special kaam kaaj karne ke special power hai, onhe Assembly ke zariye chalaaya jaata hai.

28) Constitution India ke liye ek Attorney General rakhne ko bhi kehta hai, jise President Central Government ki advice ke mutaabiq chunte hai, dekha jaaye to ye Central Government ya Union ka qaanuuni wakeel hota hai. Isi hisab se alag alag States ke bhi ek ek wakeel hote hai jinhe Advocate Generals kehte hai.

29) Constitution India ke liye ek Comptroller Auditor General rakhne ko bhi kehta hai, jise President Central Government ki Advice ke mutaabiq chunte hai, dekha jaaye to ye India ke khazane ka hisaab kitaab rakhta hai.

30) Constitution India ke liye ek Election Commission establish karta hai, jiska kaam hai India ke alag alag Elections ko karaana. Election Commission ko chalane ki zimmedari Chief Election Commissioner ki hoti hai.

31) Constitution India ke liye ek Public Service Commission establish karta hai, jiska kaam hai India ke liye saare sarkaari afsaro ko chunna. Osi tarike se States me aese Commissions hote hai jo Sate ke Sarkari afsaro ko chunte hai. Aese Commissions ko Chief Commissioners chalate hai

32) India ki defense yaane Army, Navy aur Air Force President of India ke control me hoti hai, jinhe Central Government aur Defense ke Chiefs officers milkar President ke naam se control karte hai.




(Search words: Bharat ki rajnitik banawat dhacha dhancha)

Monday 13 August 2018

How Undivided United India would have been!

Beghair Batwaare ka India (Hindustan) kaisa raha hota!


This is just an idea that had India not been divided in 1947, how it would have been, this is pure work of imagination, sovereignty of all three nations is totally respected, may peace and progress prevail in all three nations.

Ye sirf ek soch hai ke agar 1947 me batwara na hua hota to India kaisa hota, ye puri tarike se ek masnawi ya sapnawi soch hai, tino mulko ki khud mukhtari aur sovereignty ki puri ki puri respect ke saath ummid hai tino mulko me aman, shanti aur taraqqi hoti rahe.


Firstly, why is India called India or Hindustan? Its all because of a great river. River Indus which mainly flows in today's Pakistan and is locally known as Sindhu or Daryaae Sindhu, Sindhu is archaic Sankrit word which means sea, the people in those days who lived in the area and talked in that language called it a sea or Sindhu. the other side of that river was ancient Persia, the people on that side used archaic Avestan language, the problem was that the alphabet for S in archaic Avestan language was H, so instead of calling this river as Sindhu they called it as Hindhu and the people on other side as Hindhu and the place as Hindhustan. Later, when Alexander the Great invaded the Hindhu or Sindhu, his people who spoke ancient Greek pronounced Hindhu as Indo and thus they called it Indoi. Arabs called it Hind and Persian called it Hindustan. When Europeans came they pronounced the Greek word Indoi as India, and the country became India.

Sabse pehle ye ke India ko India ya Hindustan kyu kehte hai? Ye sab ek dariya ki wajah se hai. Dariyae Indus ya Daryaae Sindhu jo amuman aaj ke Pakistan me behti hai. Purani Sankrit me Samandar ko Sindhu kehte the, jo os waqt os ilaqe me boli jati thi, darya ke dusri taraf jo hissa tha wo purane Faras ka ilaqa mana jata tha, aur waha ke log purani Avesti zaban bolte the. Pareshani ye thi ke jo huruf purani Sankrit me S tha ose purani Avesti me H ki awaz se bolte the. to Sindhu ko us taraf ke log Hindhu bolte the, logo ko Hindhu aur ilaqe ko Hindhustan kehte the. Jab Sikandar ne hamla kiya to oski fauj ke log jo purani Yunani zaban bolte the Hindhu lafz ko Indo kehne lage aur logo ko mulk ko Indoi kehne lage. Phir Europe ke log jab aaye to  onlogo ne lafz Indoi ko India kaha, aur is mulk ka naam India ho gaya.



Area:

Area of today's India: 3,287,263 sq km
Area of today's Pakistan: 881,913 sq km
Area of today's Bangladesh: 147,570 sq km


Total Area of United India would have been: 4316746 sq km

Today India is Seventh Largest Country in the World, had India not been divided then too it would have ranked Seventh in the World.

Raqba:

Aaj ke India ka kul raqba: 3,287,263 sq km (Battis lakh satyassi hazar do sau tirsath sq km)
Aaj ke Pakistan ka kul raqba: 881,913 sq km (Aanth lakh ikyassi hazar nau sau tera sq km)
Aaj ke Pakistan ka kul raqba: 147,570 sq km (Ek lakh  saitalis hazar panch sau sattar sq km)


Beghair batware ke India (Hindustan) ka kul raqba hota: 4316746 sq km (Tiryalis lakh sola hazar saath sau chhiyalis sq km)

Aaj India duniya ka satwa sabse bada mulk hae, agar batwaara na bhi huwa hota tab bhi India duniya ka saatwa sabse bada mulk hi hota.

---

Population:

Poulation of today's India: 1,324,171,354
Population of today's Pakistan: 212,742,631
Population of today's Bangladesh: 125,211,978

Total population of United India would have been: 1,699,865,545

Today India is second largest population in the Wolrd, had India not been divided it would have been largest population in the World

Aabaadi:

Aaj ke India ki Aabaadi: Ek sau battis karod ekyaalis lakh ekhattar hazar tin sau chaupan log
Aaj ke Pakistan ki Aabaadi: Ekkis karod sattaais lakh baiyyalis hazar che sau ekattis log
Aaj ke Bangladesh ki Aabaadi:  Bara karod bawan lakh gyara hazar nau sau athyattar log

Baghair Batware ke India (Hindustan) ki aabaadi hoti Ek sau unhattar karod athyaanauwe lakh paisath hazar panch sau paitalis log

Aaj ka India duniya ki dusri sabse badi abadai wala mulk hai, agar batwara na hua hota to India puri duniya ki sabse badi abadi wala mulk hota.


---

Religion/ Mazhab:

Today's India, aaj ke India me: 

Hindu 79.8% (106 crore) Ek sau che karod
Muslim 14.2% (19 crore) Unnis karod
Christian 2.3% (3 crore) Tiin Karod
Sikh 1.7% (2.26 crore) Do karod chabbis lakh
Buddhist 0.7% (93 lakh) Tiryaannawwe lakh
Jain 0.4% (53 lakh) Tirpan lakh

Today's Pakistan, aaj ke Pakistan me:
Muslim: 96.4% (21 crore) Ekkis karod
Hindu: 1.5% (33 lakh) Taitiis lakh
Christian: 1.5% (33 lakh) Taitiis lakh

Today's Bangladesh, aaj ke Bangladesh me:
Muslim: 90.4% (12 crore) Bara karod
Hindu: 8.5% (1 crore) Ek karod
Buddhist: 0.6% (8 lakh) Anth lakh
Christian: 0.4% (5 lakh) Panch lakh

United India, Beghair batware ke India me hote:

Hindu: 66.88% (168 crore) Ek sau adsath karod 
Muslim: 31% (52 crore) Baawan karod
Christian: 0.012% (3.35 crore) Tiin karod Paitis lakh
Sikh: (2.56 crore) Do karod chappan lakh
Buddhist: (1.1 crore) Ek karod Ek lakh
Jain: (53 lakh) Tirpan lakh

---

GDP nominal annual, Mulk ki Salaana Qamai:

Today's India, aaj ke India ki: 10.385 Trillion $, Ek sau tiin lakh pachiassi hazar karod Amriki Dollar
Today's Pakistan, aaj ke Pakistan ki: 1.06 Trillion $, Das lakh  che hazar karod Amriki Dollar
Today's Bangladesh, aaj ke Bangladesh ki: 0.751949 Trillion $, Sath lakh ekyaawan hazar unnis sau unchas karod Amriki Dollar

United India's, Beghair batware ke India me hote: 12.196949 Trillion $, Ek sau ekkis lakh Chiyan nawwe hazar nau sau unchas karod Amriki Dollar

---

GDP per capita (UN), ek admi ki Salana Qamai UN ke hisab se:

Today's India, aaj ke India ki: 1706 $, Satra sau che Amriki Dollar
Today's Pakistan, aaj ke Pakistan ki: 1462 $, Chauda sau basath Amriki Dollar
Today's Bangladesh, aaj ke Bangladesh ki: 1355 $, Tera sau pachpan Amriki Dollar

United India's, Baghair batware ke India ki hoti: 1505 $, Pandhra sau panch Amriki Dollar

---

Possible Flag could have been something like this, shayad Beghair batware ke India ka jhanda kuch is tarha ka hota:















A white background for peace with a wheel with different colours within to represent many aspects:
Safed rang ka jhanda hota jo aman shanti ka nishan hota jiske bich me chaak hota jisme kai rang hote jinke matlab kuch aise hote:

Wheel could have symbolised Motion and Progress.
Chaak hamesha age badhna aur tarraqi dikhata. 

Red: Hinduism, Sacrifice, Warmth (Lal rang Hindu dharm, Qurbani aur apne pan ko dikhata)
Green, Islam, Greenery (Hara rang Islam aur Hariyaali dikhata)
Orange: Buddhism, Minirals (Narangi Rang Budh dharm aur zamin se nikalne wali dhaato ko dikhata)
Blue: Christianity, Sky, River, Sea, Water, Rain (Nila rang Isaiyyat, Asman, Dariya, Samandar, Pani aur Barish dikhata)
Yellow: Sikh, Wealth (Pila Rang Sikh dharam dikhata aur Amiri aur Daulat dikhata)
White: Other religions, Peace, Purity (Safed Rand dusre baki mazhab ko dikhata aur saath hi aman aur shanti dikhata)

Such a flag would had been a new design, which wouldn't have represented wholly a particular religion so wouldn't had been controversial.
Aesa jhanda bilkul naya jhanda hota jiski waja se koi jhagda paida nahi hota, har koi ise asani se qubul kar leta.