Wednesday 1 February 2017

Meanings in Urdu of National Anthem of India

Hindustan ke Qaumi Taraane ke Urdu ma’ene










Tamaam insaanou ke dilou ke Maalik,
Tere hi hathou me Hindustaan ki taqdeer hae,
Tera hi naam tou ujaagar hae Punjab, Sindh, Gujarat, Maraath ke dilou me,
Draavid, Odisha aur Bangaal ke dilou me,
Tera hi naam tou gunjata hae Vindhya aur Himaalay ke parbatou me,
Tera hi naam tou ghulmil jata hae Ganga aur Yamuna ki lehrou me,
Tera hi naam tou Bahre Hind ki mauje gungunaati hae.
Hum Teri barkatou ke talabgaar hae,
Aur Teri hi tou hamd gungunaate hae.
Tamaam insaanou ki bhalaayi Tere hi haathou me hae,
Tere hi hathou me Hindustaan ki taqdeer hae,
Qaamyaabi Teri hae, Teri hae, aur Teri hi hae!

Gurudev Rabindranath Tagore ji himself translated ‘Jana Gana Mana’ into English, I’ve extracted meanings from that English translation. Ja Na Ga Ma are sargams (notations) of variant Bengali music. Lyrics of ‘Jana Gana Mana’ is in highly Sanskritised Bengali language.
Gurudev Rabindranath Tagore ji ne khud ‘Jana Gana Mana’ ka tarjuma Angrezi zabaan me kiya tha, maene Urdu ke ma’ene oosi Angrezi tarjume se haasil kiye hae. Ja Na Ga Ma ye khaas Bangaali mausiki ki sargam hae. ‘Jana Gana Mana’ ke alfaaz Bangaali ke ek khaas lehje jo Sankrit se boht mutaassir hae, us lehje me likhe gaye hae.