Saturday 25 January 2014

Gantantra Diwas Ki Parade aur uska Kharch

Gantantra Diwas ki Parade aur uska Kharch
Agar hum Bharatiya Gantantra diwas ki parade ke viprit kuch bhi kehte hae, jisme achi khasi raqam kharch hoti hae jiska janta par bojh padta hae, hume kaha jata hae hum shradha nahi rakhte. Bharat ki sena ke balidano ke prati shadha nahi hae. Ye bilkul ghalat arop hae. Koi bhi aesa nahi hoga jo sena ke balidano ke prati shradha nahi rakhta hoga.
Balke, jab hum adhik kharcha karke is parade ka ayojan karte hae us samay hum unlogo ke prati sharadha nahi rakhte hae jinhe us pal zarurat hoti hae roti ki, dawao ki, haspatalo ki aur zaruri suwidhao ki sath hi zarurat hae infra-structure ki. Balke jab hum Bharat ke Sanvidhan ke margdarshan se hat jate hae us samay hume shardha nahi hoti.
Samvidhan ka mardarshan hume aage badhne ko prerit karta hae, is liye to sanvidhan ko nahi lagu kiya gaya tha taake parade par karodo kharch ho. Ye adhik acha hota ke hum apne desh ko uphar dete Gantanra Diwas ka hospatalo ke rup me, sadko ke rup me, bijli gharo ke rup me.
Gantantra diwas Sanvidhan ka diwas hae naake sirf sena ka, adhik dhyan hamare sanvidhani marg par dena chaiye.
Gantantra Diwas ki Shubkamnaye.

No comments:

Post a Comment