Majlis,
July 4, 1776.
Tera
Muttaahida Riyaasat Amrika ka muttafik Iqraar-naama.
Jab
kabhi insaaniyat ki taarikh me, kisi ek qaum ke liye ye zaruri ho jaata hai ke
wo radd karde us siyaasi majmue ko jisse ke wo ab tak jude rahe hou, aur ose
tabdil karde kisi aur majmue se, aur haasil karle Zamin ke ikhteyaaraat, jo ke
alaahida magar baraabar martaba rakhte hae, jinhe ke qudrati nizaam aur iske
Khuda ne inhe faraaham kiya ho, insaani fikr ka ehteraam baaki rahe, is liye ye
zaruri ho jata hai ke un wajuhaat ko bhi waazae kar diya jaaye jo is alaahidgi
ki zimmedaar hae.
Hum
in haqiqat ko waazae maante hae, ke har insaan ek dusre ke baraabar khalq kiya
gaya hae, aur Khaaliq ne har kisi ko kuch naaghurez haquq ata kiye hae, aur
inhi me se hae Zindaghi, Azaadi aur Talabe Khush-haali ke haquq.
Aur inhi haquq ke tahhaffuz ke khaatir, insaano ke
darmiyaan hukumat ka qayaam kiya jaata hae, jise ke apne ikhteyaarat un logou ki
raza se haasil hote hae, jinpar ise qaayam kiya jaata hae, jab bhi kabhi koi hukumat
in maqsad ke mutalliq tabaah kun rawaiyya ikhteyaar kar leti hae, tou logou ka
ye haq hae ke aesi hukumat ko tabdil karde ya ose khatm hi kar de, aur nayi
hukumat qayaam kare, jiski bina wohi usul ho, aur nayi hukumat ke ikhteyaarat
is tariqe se munazzim karde ke iske logou ko is baat ka mukammal itmenaan ho
jaaye ke is hukumat ke nataaij me inki hifaazat aur khush-haali hogi.
Beshaq, duur-andeshi is mutalliq agaah karaati hae
ke, ek muddat se qaayam hukumat ko kuch mukhtasar aur fuzul wajuhaat ki bina
par tabdil nahi kiya jaana chaahiye, taarikh is baat ki gawaah hae ke, halaake
buraayi iski zyada mustahiq hoti hae ke ose past kiya jaaye, insaaniyat hi ho
past maandaghi ka saamna karna padh jaata hae, ye sab iske bajaaye ke wo khud
ke haalaat durust kar sakte aese nizaam ka khaatma kar ke jiske mutaabik wo
dhal chuke hou. Magar jab be-izzati aur ghasab ka ek tawil silsila ho, ek
zaahir si tartib ho jo isi maqsad me musalsal masruf rahe ke kis tarha past kar
diya jaye unhe ek mukammal taanaashaahi ke paaye tale, tab ye unka haq hae,
unki zimme-daari hae, ke wo ukhaad phenke aesi hukumat, aur muqarrar karde naye
muhafizeen apni mustaqbil ki hifaazat ke khaatir.
Kis tarha se sabr ke sath in riyaasat ne saaha hae;
par ab aesi zarurat aan padi hae jisne unke saamne koi aur dighar raah hi baaki
nahi rakhi, siwaaye iske ke wo tabdil karde apne purane hukumati nizaam ko. Bartaaniya
ke maujuda badshah ki taarikh ek aesi taarikh hae ke jisme musalsal zakhm aur
ghasab shaamil hae, in tamaam shar ka mehez ek hi maqsad hae in riyaasat par ek
mukammal taanaashaahi ka qayaam. Is baat ko saabit karne ke waaste, adl pasand
duniya ke saamse sabut haazir kiye jaa rahe hae.
Us ne, un qawaanin jo ke awaam ki falaah ke liye
nihayat hi aeham aur zaruri the, unhe apni manzuri dene se inkaar kar diya
Us ne apne Subeh-daaro ko fauri aur nihaayat hi
aeham qawaanin tak ko manzuri dene se rok rakha hae, us waqt tak ma’attal rakhe
jaaye aur laagu na kiye jaa sake jab tak ke uski khud ki manzuri na haasil kar
li jaaye; ma’attal hone ki surate haal me bhi, us ne inhe mukammal taur se
nazar andaaz kar daala.
Us ne awaam ke liye bade zil’ou ki takmil ke dighar
qawaanin ko manzuri dene se inkaar kar diya, us waqt tak jab tak ke log qaanun
saazi me numaaindaghi ke apne haq ko tark na kar de, ek aesa haq jo ke logou ke
liye tou besh qimati hota hae magar sirf zaalim hi us se khauf-zadah hote hae.
Us ne qaanun saaz jam’aat ko aese maqaamaat par haazir
karwaaya jo ke naa-munasib, dushwaar, aur awaam ke ma’lumaat shumaar idaare se
dur daraaz hua karte the, mehez is maqsad ke tehat taake dushwaar ho kar uski
paimaaish qubul kar le.
Us ne musalsal Majlise Numaaindaghi ko maazul kiya,
is bina par ke awaam ke haquq me uski beja dakhal ki mardana pukhtaghi ke saath
mukhaalifat ki gayi.
In Maazuliyaat ke baad bhi, ek tawil arse tak,
dighar araaqin ko chun liye jaane se roke rakha, jiski bina hi par qaanun-saazi
ke ikhteyaaraat, jinhe kabhi khatm hi nahi kiya jaa sakta, ab awaam ke haatho
me hi laut aate hae, taake in ikteyaaraat ki takmil ho sake; is surate-haal me
mulk par ghair-mulki hamle aur andruni baghaawat ka khatra mandra raha hae.
Usne Shiddat se
koshish ki taake wo rok sake in riyaasat ki awaam ko; isi maqsad ke tehat usne
rukaawat paida ki un qawaanin me jo ke ghair-mulki baashindo ko shehriyat faraaham
karte hae; dighar logou ko aamodaraft ki ijaazat nahi di jisse ke unhe himmat
milti taake wo yeha hijrat kar sake, naahi nayi zamin ki malkiyat ke haalaat
behtar kiye.
Adaalati
ikhteyaaraat wazaaye kiye jaane ke waaste qawaanin ko apni manzuri dene se
inkaar karke usne Adaalat ke intezaamaat me rukaawat khadi ki
Us ne tamaam qaadi
ko unki muddate mulaazimat, unki tankhawaah ki rakam aur adaaygi ke mutalliq
sirf khud ka mohtaaj bana rakha hae.
Usne kayi saare
naye daftar qaayam kiye, aur apne kaarkoon ke jamghat hamaare yeha bhej diye
taake wo hamaari awaam ko dara dhamka sake aur unka niwaala chhin sake.
Usne, amn ke waqt
me bhi hamaare darmiyan, hamaari majaalis ki manzuri ke baghair ek sargarm fauj
maujud rakhi.
Usne aese asraat
paida kiye hae jinki bina par fauz diwaani ikhteyaarat se bhi azaad ho jaaye.
Usne ghair tanzim
ke saath milkar hume aese hudud ke supurd kiya jo ke hamaare aain ke madde
nazar ghair-mulki the aur hamaare qawaanin se taslim shuda nahi the; in tanzim
ki qaraar-daad ko apni manzuri de dekar ose qaanun saazi sabit karne ki chaal
chali:
Taake kasir afwaaj
hamare darmiyan la kar khadi kar sake:
Taake, farzi
muqaddamaat ke zariye, in afwaaj ko bachaaya jaa sake, un qatale-aam se jo wo
in riyaasat ke baashindou ka karte hou:
Taake Duniya ke
dighar hissou se hamaari Tijaarat ko khatm kar diya jaaye:
Taake hamaari razaa-mandi
ke baghair hi humpar zarb laagu kiya jaa sake:
Taake qayi saare
muqaddamaat me, sabut aur dalaail ki bina par samaat kiye jaane se hume mehroom
rakh sake:
Taake hume farzi
muqaddamaat ki sam’aat ke bahaane samandar ke paar le ja sake:
Taake pados ki
riyaasat se Angrezi Qawaanin ka azaad nizaam khatm kiya jaa sake, uski jagah
par man-maane qawaanin lagu kar sake, fir un riyaasat ke ehaate failaaye jaaye
aur in tamaam ko fauran ki ek misaal baana kar pesh kar diya jaaye, aur fir isi
misaal ke tehat hamaari riyaasat me bhi khud ki taanaashaahi ki shuruwaat kar
sake
Taake hamaari
qaraar-daad chhini ja sake, hamaare umdaah qawaanin ko khatm kiya ja sake aur
hamaari in hukumat ke nizaam ko hi sire se tabdil kiya ja sake:
Taaki hamaare
qaanun-saaz aewaan ma’attal kiye ja sake, aur khud ko un ikhteyaaraat rakhne ke
qaabil hone ka aelaan kara sake jisse ke wo kisi bhi masaail par hum par
qawaanin bana kar laagu kar sake.
Is aelaan ko karke
ke hum uske tahhaffuz se khaarij kar diye gaye hae aur humare khilaaf aelaane
jung karke, us ne khud hi ko yeha ki hukumat se maazul kar liya hae.
Us ne hamaare
samandar me lut maar ki, hamaare saahil par tabaahi ki, hamaare qasbou ko
jalaaya, aur hamaari awaam ki zindaghi barbaad ki.
Usne is waqt bhi
deshshat-gardou ki kasir afwaaj rawaana kar rakhi hai taake wo anjaam tak pocha
sake qatle-aam, tabaahi aur zulm ke us silsile ko, jise ke pehele hi se isne
jabr aur barbaadi ke haalaat me shuru kiya tha, aese kaar-naame ki misaal
barbar tarin zamaane me bhi shaayad hi mil sake, ye hae ek tahzib-yaafta mulk
ka naa laayak sarbaraah.
Usne dur-daraaz
samandar me qaidi banaaye huwe hamaare apne hi logou ko apne hi mulk ke khilaaf
hathyaar uthaane par majbur kar diya, taake wo apne hi dostou aur baraadaraan
ka qatle-aam kar sake, ya fir apne hi logou ke hathou se qatl kar diye jaaye.
Us ne hamaare darmiyaan
me bhi gharelu baghaawat ki hausla afzaai ki hae, aur shadid koshish ki hae
taake wo hum par hamlaah aawar kar de hamaari sarhad paar ke un be-raeham wehshi
Hindi dehshatgardou ko jinke hamle tamaam mardou, aurtou, jawanaan, buzurgh aur
har tabke ke shakhs ko barbaad kar dete hae.
Jabr ke har aalam me humne masaail ke hal ke
khaatir nihaayat hi aajizaana andaaz me ilteja ki: hamaari musalsal ilteja ke
jawaab me hume zakhm milte rahe. Ek shehzaadah, jiske kirdaar ka har ek amal
aesa hota hae jisse ke Zaalim ki wazaahat hoti hae, tou ye is qaabil nahi hae
ke wo azaad awaam ka haakim ban sake.
Hum apne Angrezi Baraadaraan ki tawajjah ke bahaar
nahi rahe hae, humne unhe waqt ba waqt aagah karaaya hae ke unke aewaan ke
zariye hum par na qaabile qabul ikhteyaarat haasil karne ki koshish ho rahi
hae. Hum ne unhe yaad dilaaya ke kin surate haal me humne yeha hijrat ki aur
basti basaayi. Humne unke aabaayi adl aur sakhaawat ke saamne ilteja ki, humne
unhe unke saath hamaare mushtarqa rishte aur ta’alluqaat ka hawaala diya ke wo
in ghasab se parhez kare, jo ke, aakhir kaar unke saath hamaare ta’lluqaat aur
khatou kitaabat ko dushwaar kar dega. Unho ne bhi nasli ta’alluqaat aur adl ki
awaaz ki an-suni kardi. Isi bina par, hume, apni zaruriyaat ko madde nazar
rakhte huwe, apni alaahidgi ka aelaan karna chaahiye, aur ab unhe is tarha hi
samajhna chahiye, jaese ke hum dighar tamaan insaanou ko samajhte hae, jung me
dushman, amn ke dost.
Is liye, Hum, muttaahida riyaasat Amrika ke
numaainde, awaami majlis me, jama ho kar, apni niyat ki baqa ke khaatir Duniya
ke Us Aala Qaadi ke saamne ilteja karte huwe, in riyaasat ki sharif awaam ke
ba-naam aur baa-sanad, mukhlisaana aelaan pesh karte hae, ke jaesa ke inhe haq
haasil hae, ye muttaahida Amriki riyaasat, ab se azaad aur khud mukhtaar mulk
hae; Aur ye ke ye Bartaania ke Badshah ki har qism ki bayyat se bari ho chuke
hae, aur ye ke har siyaasi ta’alluqaat jo inke aur Mulke Bartaania ke darmiyaan
tha, jaesa ke hona bhi chaahiye ab mukammal taur se khatm ho chuka hae; aur ye
ke Azaad aur Khud-Mukhtaar mulk ki haesiyat se, inke paas aelaane jung karne
ke, sulaah karne ke, ta’alluqaat qaayam karne ke, tijaarat karne ke, aur har wo
amal aur chiz karne ke jo ke azaad mulk apne haq se kar sakte hae unhe karne
ke, mukammal inkhteyaaraat hae. Aur is Iqraar-naame ki himaayat ke khaatir, us
Razzaaq ke tahaffuz par pukhta aetemaad karte hue, hum ek dusre ke khaatir qasm
khaate hae apni Jaano ki, apne Maal ki aur apne muqaddas Waqaar ki.
No comments:
Post a Comment